1. Angdai par angdai
Angdai par angdai leti hai raat judaai ki,
tum kya samjho tum kya jaano baat meri tanhaayi ki |
Kaun siyahi ghol raha tha wakt ke behte dariya mein,
maine aankh jhuki dekhi hai aaj kisi harjee ki |
Wasl ki raat na jaane kyoon israar tha unko jaane par,
wakt se pehle doob gaye taaron ne badi daanaee ki |
Udte udte aas ka panchi duur ufaq mein doob gaya,
rotey-rotey baith gayi awaaz kisi saudaai ki |
-----------------------------------------------------------
2. Apne haathon ki lakiron mein
Apne haathon ki lakiron mein basa le mujhko,
main hoon tera toh naseeb apna bana le mujhko |
Mujhse tu puchne aaya hai wafa ke maani,
ye teri saadaa-dili maar na daale mujhko |
Khud ko main baant na daalun kahin daaman-daaman,
kar diya tune agar mere hawaale mujhko |
Waada phir waada hai main zehar bhi pee jaaoon 'qateel',
shart ye hai koi baahon mein sambhaale mujhko |
-----------------------------------------------------------
3. Dil ko gham-e-hayaat
Dil ko gham-e-hayaat ganwaara hai in dino,
pehle jo dard tha wahi chaara hai in dino |
Ye dil zara sa dil teri yaadon mein kho gaya,
zarre ko aandhiyon ka sahara hai in dino |
Tum aa sako to shab ko badha doon kuch aur bhi,
apne kahe mein subho ka taara hai in dino |
Saturday, November 15, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment