Saturday, November 22, 2008

Saher - 2000


Yaad nahi kya-kya dekha tha, saare manzar bhool gaye,
Uss ki galiyon se jab laute, apna bhi ghar bhool gaye |

Khoob gaye pardes ki apne deewaar-o-dar bhool gaye,
Sheesh-mahal ne aisa ghera, mitti ke ghar bhool gaye |

Tujh ko bhi jab apni kasamein, apne vaade yaad nahi,
Hum bhi apne khwaab teri aankhon mein rakhkar bhool gaye |

Mujh ko jinhone qatl kiya hai, koi unhe batlaaye nazeer,
Meri laash ke pehalu mein woh apna khanjar bhool gaye |


================================================

No comments: